31 unmarried

Mohtarma Bilqees…as Muslims…humara yeh iman hai k har kaam Allah ki taraf se hota hai. Har banday ki kismat alag hoti hai. Farz karo k shadi kay 5-10 saal baad…aik couple k paas koi aulaad nahin hai. To kya tum tab yeh kaho gi…“Aap 35-40 ki hain aur abhi tak aulad nahin huwee mai kitni shocked hoon”??? Aaap andhay hain…main kitni shocked hoon. Aap ka yeh kaam nahin hua abhi tak…aap ka woh kaam nahin hua abhi tak…main bahut shocked hoon.

Har kaam hamaray ya society k time schedule k mutabiq nahin hota. Aksar aisa hota hai k sub kuch hamari planning k mutabiq ready hota hai…lekin end main plan fail ho jata hai. Hazrat Ali (RA) ne kaha hai k “Main ne khuda ko apne iradon k toot jaanay se pehchana hai.” Jo bhi hoga…jab bhi hoga…Alla ki marzi.

Mujhay samajh main nahin aata k kuch log jo bhi dil main aaye…baghair sochay/samjhay bol daitay hain. Agar koi naseehat nahin de sakte…ya koi achi/encouraging baat nahin kar saktay…to hurtful/ya thoughtless baatain kyoo kartain hain. Bachon ki to aur baat hain…woh na samajh hain. Lekin baron ko to aqal honi chahiye. :smack: