Re: 12 rabiyalawaal!
**
[QUOTE]
Problem Girl : Green colored flags, Chiraaghan waghaira waghairaa ...
Its more part of cultural tradition than religion
[/QUOTE]
**
*lakin james jee yehe to rona hay *
*jo log yeh kaam kertay hain woh is ko mazhabi fareeza samjhtay hain *
*masajid or madaris ka kam deen hay na kay rasmon riwajoon ko phaylana *
App salal Allaho alyhi walsam ka nam ley ker yeh her woh kam kertay hain jin say mana kia gya
yahan k logon kay Aqeeday kia hain
*jo log apnay gher per 12 rabiulawal ko flag lagain gay un kay guanh mauff ho jain *
yeh tradition nahi hay yeh sub Deen main khud say addition hay
or her woh rasam batil hay jo Deen kay nam per ki jayee
kokab norani jo in ka sub say bara leader tha woh apni kitab islam ki pehle eid main likhta hay kay asal to eid hee yehe hay baqe eid ul fitar or eid zuha to is ki branches hain
*yeh rasam hay ? yeh to us nay deen main apni marze ker dee hay is per log chaltay hain or yeh sub jhandiyan charaghan kertay hain *
*app ki malom hay ajj kay din Eid ki baqida jamat say namaz perhaye jate hay *
yeh sub Biddat hay hain
*or hadees main hay *
*her biddat gumrahe hai or her gumrahe jahnum main lay jany wale hay *
[QUOTE]
And whats wrong with milads
[/QUOTE]
sac > whats right in mailad?
shirk bidaat her cheez in mailad main hote hay
shirkiya naatain perhe jate hain
app jis hastee kay ley din celebrate ker rahay hain usee ki sare nafermaniyn hote hain
mujhay nahi samjh ata yeh sub kuch ker kay ap apn-e-app ko Aqshiq-e-rasool kis terah sabit ker saktay hain
App salal Alahoa lyhi waslam nay fermaya tha
mere qabbar ko Eid mut banana
or ajj jo log ashiq-e-rasool ka dawa kertay hain wohe yeh kam ker rahay hain