Zyarat E Rasool Allah S.A.W.W., Aur AAP S.A.W.W. Ka Husn O Jamal

Re: Zyarat E Rasool Allah S.A.W.W., Aur AAP S.A.W.W. Ka Husn O Jamal

**Jis K Chehray Par Dast E Aqdas Pher Dete Woh Roshan Ho Jata

Mubarak Hatheliyan Kushada Thyn

Mubarak Hathon Ki Unglyan Khubsurti K Sath Lambi Thyn Jese Chandi Ki Dali

Seena Aqdas Kushada Farakh Aitadal K Sath Chaura Shakam e Aqdas K Brabar Aur Apni Chamak Damak Mai Chaudween Ka Chand Malum Hota Tha

Shakam Mubarak Seena Aqdas Barha Hua Na Tha Bal K Yun Lagta Tha Jese Kagaz Teh Ba Teh Rakhay Huway Hayn Atraf E Shakam Nahayat Safaid Aur Khubsurat Tha Seena E Aqdas Se Balo Ki Aik Khubsurat Lakir Naaf Tak Thy Jo Khushnuma Taro taza Shakh Ki Trah Thy Is K Ilawa Seena Aur Batan Balo se Khali Tha Kandho Aur Seene Aqdas Se Upar Walay Hise Mai Bal Thay.

Khun e Aqdas Mai Ajib Kisam Ki Mashur Kun Mehak Thy

Zanu e Muqadas Husn o Jamal Ka Marqa'a Thay.

Pandliyan Mubarak Naram Bareek Nahayat He Chamakdar Aur Khubsurat thyn.

Jaise Khajur ka taza khusha qadam Shareef Naram Aur Pur Gosht Thay**