**As Salam-o-Alaykum
Hadrat Aisha RA Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} K Husn o Jamal K baray naib aik sher parha kerti thyn Jis ka Tarjuma hay
"K Zulekha Ko Malamat Kerne Wali Aurtein Agar Allah k Habeeb {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Ka Husn o jamal Dekh Letin To Bajaye Ungliyan Katne K Apnay Dilon ko Kat Letin Subhan ALLAH
Allah Tala Ne Apnay Mahboob {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Ko tumam Makhlooq Se Zyada Huseen o Jameel Bnaya
Is Se Pehle K Main Byan Keroon Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Ka Husn o Jamal Main Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} ki Zyarat K Hawalay Se Kuch Share kerna Chahun gy
Aap Laug Yeh To Jante Hain K Jise Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Ki Zyarat Ho Jaye Woh Shakhs Bahishti Kehlata Hay
Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Ki Zyarat Jise Naseeb Ho Usay basharat hay k khawab main zyarat k waqt dusra shakhs wahan alzmi ho ga jo aap ko btaye ga k yeh Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} hayn aur 2nd basharat yeh k 1st time khawab main zyarat ho gy 2nd Time woh shakhs Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} ko Tashreef latay hue Dekhe ga Subhan ALLAh
Aap Khawab Main Zyarat E Rasool Allah {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} K Khawahish Mand Hain To To Is k liye kasrat se Darood Shareef {Darood e Ibraheemi} Jo darood nimaz main parha jata ahy woh kasrat se parhein Aimaan e Ba Rasalat Ka taqaza hay k Ham Apni aulaad maa baap Goya Dunyawi Har Chiz k bajaye Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Se zyada mohabbat rakhein jis qadar mohabbat zyada ho gy Zyarat Bhi utni jaldi naseeb ho gy insha ALLAH
PAARA NUMBER 11 SURAT UL TAUBA AYAT NUMBER 128
jise khawahish hay woh pehle taqwa ikhtyar ekre aur sath he is ayat ko rozana kasrat se parhe
agar koi shakhs 6 maah tak Rozana tahajad ki nimaz {tahajd ki nimaz k liye zaruri hay k aap pehle soye hon so ker arahyi bajay uthein to tahajd ki nimaz hogy }tahajad ki nimaz ada kerne k baad is ayat ko jo k uper m,ention ki hay 100 martba parhein To woh zarur Rasool e Akram {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} ki Zyarat se Musharf Ho ga Insha ALLAH
aur is k ialwa ap koshish kerien k jhooth nahi bolein beshak maut smanay kune na ho
walioden ki izat ekrien yeh nahi k just maa ki
Maa agar janat hay to baap janat ka darwaza hay maa ki khidmat kerien k sath ap janat to pa lein gay per darwaza he na mila to dakhil kaise ker hon gay?
Aap {Sallallahu Alayhi WaAalihe Wasallam} Dur Se Sarapa Waqar Aur Baraub Dikhayi Dete Hain
**