Zulm phir zulm hai, baRhta hai tau miT jaataa hai
-------------------------------------------------------
Zulm phir zulm hai, baRhta hai tau miT jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, TapkaY gaa tau ja’m jaayega
Khaak-e-sehra pe jamey yaa kaf-e-qaatil pe jamey
Farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jamey
TeGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jamey
Khoon phir Khoon hai TapkaY gaa to ja’m jaayega
Laakh baiThaY koi chhup chhup ke kameeN gaahoN maiN
Khoon Khud deta hai jallaadoN ke maskan ka suraaGh
SaazishaiN laaKh uRaati rahaiN zulmat ka naqaab
laY ke har booNd nikalti hai hatheli pe charaaGh
Zulm kee qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
Jab’r kee hikmat-e-purkaar ke eemaa se kaho
Mehmal-e-majlis-e-aqwaam kee laila se kaho
Khoon deewana hai, daaman pe lapak sakta hai
Sho’la-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai
tum ne jiss Khoon ko maqtal maiN dabaanaa chaaha
Aaj vo koochaa-o-bazaar maiN aa nikla hai
kaheeN sho’la kaheeN naa’rah kaheeN patthar ba’n ke
Khoon chalta hai to rukta naheeN sangeenoN se
Sar jo uThtaa hai to dabtaa naheeN aaeenoN se
Zulm ki baat hee kiya, zulm ki auqaat hee kiya
Zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak
Khoon phir Khoon hai, so shak’l badal sakta hai
Aisi shaklaiN ke miTaaoo tau miTaaye na banaY
AisaY sho’laY kaY bujhaao tau bujhaaye na banaY
AisaY naa’raY kaY dabaao tau dabaaye na banaY
BY: Sahir Ludhiyanvi