:-=-: Zuhd aur Rindi :-=-:

  • Ik Maulvi Saahib kee sunaataa hooN kahaani
    Tezi naheeN manzoor, Tabiyat kee dikhaani

  • Shohrah thaa bahut aap kee Sufi Munashi kaa
    Kartay thay adab unn kaa a’aalii-O-adaani

  • Kehtay thay kay pinhaaN hai Tassawuuf maiN Shariya’t
    Jiss tarah kay Alfaaz maiN muzmir hoN ma’aani

  • Labrez ma’-e-zuhd say thee dil kee suraahi
    Thee Teh maiN kaheeN duurd-e-Khiyaal-e-Hamadaani

  • Kartay thay bayaaN aap karaamaat kaa apni
    Manzoor thee ta’adaad mureedouN kee baRhaani

  • Muddat say rahaa kartay thay hamsaaye maiN mairay
    Thee Rind say Zahid kee mulaaqaat puraani

  • Hazrat nay miray aik shanaasaa say yeh poocha
    IQbal kay hai Qamari-e-Shamshaad-e-ma’aani

  • Paabandi-e-Ahkaam-e-Shariya’t maiN hai kaisaa?
    Go sher maiN hai rashk-e-Kaleem-e-Hamadaani

  • Suntaa hooN kay kaafir naheeN Hindu ko samajhtaa
    Hai aisa aqeedah asar-e-falsafa daani

  • Hai uss kee tabiya’t maiN Tashshaiiyo’ bhee zaraa saa
    Tafzeel-e-Ali:razi: hum nay sunni uss kee zubaani

  • Samjhaa hai kay hai raag ibaadaaat maiN daakhil
    Maqsood hai Mazhab kee magar khaak uRaani

  • Kuch a’aar ussay Husun FaroshouN say naheeN hai
    A’aadat yeh hamaaray sho’raa kee hai puraani

  • Gaanaa jo hai Shub ko tau Seh’r ko hai tilaawat
    Iss Ramz kay abb tuk naa khulay hum pay ma’aani

  • Laikin yeh sunnaa apnay mureedouN say hai maiN nay
    Bay daagh hai maanind-e-seh’r iss kee jawaani

  • Majmoo’a-e-azdaad hai, IQbal naheeN hai
    Dil daftar-e-Hikmat hai, Tabiya’t Khafakaani

  • Rindi say bhee aagaah, Shariya’t say bhee waaqif
    Poocho jo Tassawuuf kee, tau Mansoor kaa saani

  • Iss shakhs kee hum par tau haqeeqat naheeN khulti
    Hogaa yeh kissi aur hee Islam kaa baani!

  • Al-Qissa bahut toool diyaa wa’az ko apnay
    Taa der rahi aap kee yeh naghz bayaaani

  • Iss shehr maiN jo baat ho, uRR jaati hai sub maiN
    maiN nay bhee sunni apnay ahibba kee zubaani

  • Ik din jo sar-e-rah millay Hazrat-e-Zahid
    Phir chiRR gaiee baatouN maiN wohi baat puraani

  • Farmaaya, shikaayat woh mohabbat kay sabbab thee
    Thaaa farz miraa, raah shariya’t kee dikhaani

  • MaiN nay yeh kahaa koie gilaa mujh ko naheeN hai
    Yeh aap kaa huq thaa ziraah-e-qurb-e-makaani

  • Khamm hai sar-e-tasleem mairaa aap kay aagay
    peri hai tawaazo’ kay sabbab meri jawaani

  • Gar aap ko maa’loom naheeN meri haqeeqat
    Pedaa naheeN kuch iss maiN Qusoor-e-Hamadaani

  • MaiN khud bhee naheeN apni haqeeqat kaa shanaasaa
    Gehraa hai meray beh’r-e-khiyaalaat kaa paani

  • Mujh ko bhee tamanna hai kay IQbal ko dekhooN
    Kee uss kee judaaie maiN bahut ashk fashaani

  • IQbal bhee IQbal say aagaah naheeN hai!
    Kuch iss maiN tamaskhur naheeN, Wallah naheeN hai

Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal :rehm:

Dobara paRh ker kafi acha laga :)
Thank you for sharing.

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Dobara paRh ker kafi acha laga :)
Thank you for sharing.
[/QUOTE]

ummm ap ko parh kar acchi lagi to acchi hogi :D

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

ummm ap ko parh kar acchi lagi to acchi hogi :D
[/QUOTE]
:-| bely bely bad :(