Zohrain - Sunni View

Re: Zohrain - Sunni View

falling asleep and not be able to wake up in time to do namaaz due to extreme fatigue is a valid reason so a qazaa is to be offered. howevev, having said that, agar is baat kaa iHtimaal ho to koshish yehii karnii chaahiye k banda kisii ko taakeed kar de yaa alarm lagaa le taa k waqt par uTh sake. ab insaan se qasdan/sahvan kotaahiyaaN ho hii jaatii haiN aur chuN k Allah mo’aaf karne waalaa hai is liye agar namaaz qazaa ho jaaye to qazaa paRh lenii chaahiye magar yeh insaan kii aadat nahiiN ban jaanii chaahiye…

…yeh kahaavat hai k:

you should fit your routine in Islam and NOT fit Islam in your routine.

jis cheez kii ijaazat sirf kuchh Khaas soorat-e-Haal ke liye haiN is liye unkaa iste’maal un soorat-e-Haal kii 'adam maujoodgii meN shara’an jaa’iz nahiiN hai.