Zindgi hai apni aazaab soorat

Zindgi hai apni aazaab soorat
Jesay kho betha hai khwaab soorat

Subhu k ujalay utartay hain
Aankhon me apni raat soorat

Me khud ko kesay bachaun iss se
yeh aandhi uthi jo sahaab soorat

Tumhen aaj dekha to aisa laga
Tum to koi ho saraab soorat

Tumhen jo chaha to youn laga tha
Muhabat hai apni shahaab soorat

Mera kho jana tumhen dukhi na ker de
Zindgi me teri me nsaab soorat

Apni aanaiyaton meray zakhmon ka jo shumar kero
Dekhna kho na de yeh hisaab soorat

Re: Zindgi hai apni aazaab soorat

Nice Sharing........

Re: Zindgi hai apni aazaab soorat

nicee:k:

Re: Zindgi hai apni aazaab soorat

Tumhen aaj dekha to aisa laga
Tum to koi ho saraab soorat

Insaan hote hi saraab hain

Re: Zindgi hai apni aazaab soorat

Why would you say tht ?