zindagii kaa dard lekar inqalaab aayaa to kyaa
ek joshiidaa pe Ghurbat mien shabaab aayaa to kyaa
[joshiidaa=wave]
**ab to aaNkhon par Gam-e-hastii ke parde par gaye
ab koii husn-e-mujassim be_naqaab aayaa to kyaa
Khud chale aate to shaayad baat ban jaatii koii
baad tark-e-aashiqii Khat kaa jawaab aayaa to kyaa
muddaton bichhare rahe phir bhii gale to mil liye
ham ko sharm aayii to kyaa, un ko hijaab aayaa to kyaa
ek tajallii se munawwar kiijiye qatl-e-hayaat
har tajallii par dil-e-Khaanaa_Kharaab aayaa to kyaa
matalaa-e-hastii kii saazish dekhate ham bhii ‘shakiil’
ham ko jab neendh aa gayii phir maahataab aayaa to kyaa**
[matalaa=place of rising of moon, sun, or stars]
Shakeel Badayoni