be-nigah aankhoN se dhaikhte hien parchoN ko
be-khiyaal ankhoN se un-bunay se lafzoN per ungliyaN ghumate hien ya sawal-namay ko dhaikhte hee jate hien her taraf kan-akhyoN se bach-bacha k takte hien
dosroN k parchoN ko rah-numa samajhte hien
shayad is tarah koii raasta hii mil jaye
be-nishaN khwaboN ka kuch pata hii mil jaye
mujh ko dekhte hien tu
youn juwab-copy per hashiye lagatay hien
jaise un ko parchay k sub jawaab aatay hien
is tarah k manzar mien
imtihan-gahoN mien daikhta hii rehta hoon naQal kerne walon k nat-naye tareekoN se
aap lutf leta tha, dostoN se kehta tha kis taraf se janay ye aaj dil k aangun mien ik khiyaal aaya hai sainkaroN sawaloN sa ik sawal aaya hai **waQt ki aadalat mien, zindagii ki soorat mien ye jo mere haathoN mien ik sawal-nama haii
kis ne banaya hai.. kis liye banaya hai
kuch samajh mein aaya hai
zindagii k parchay k
sub sawal lazim hain… sub sawal mushkil hien*
be-nigah ankhoN se daikhta hoon parche ko un-bunay se lafzoN per ungliya`N ghumata hoon
hashiye lagata hoon
daaire banata hoon
ye sawal-namay ko
daikhta hii jata hoon
~Amjad Islam Amjad*