zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

kuchh ajab shaan se logo.n me.n rahaa karate the ham Khafaa rah ke bhii aapas me.n milaa karate the

itanii tahaziib rah-o-rasm to baaqii thii ki vo
laakh ranjish sahii vaadaa to vafaa karate the

us ne puuchhaa thaa ka_ii baar magar kyaa kahiye
ham mizaajan hii pareshaan rahaa karate the

Khatm thaa ham pe mohabbat kaa tamaashaa goyaa
ruuh aur jism ko har roz judaa karate the

zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye
saa.Ns lene kii faqat rasm adaa karate the

:k: Nice one :slight_smile:

:k:

Re: zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

bhut khoob :k:

Re: zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

**

kia kehne:k::k::k:

Re: zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

bohat khob amjad bahi thanks 4 sharin..and jhoot k khafa rah k be mila kartey hain :crying: gayeb kahan hain ap itnay dino se..am sorry if ap hum se naraz hain tu …:frowning:

Wah … subhaan Allah
:k: :k:

Re: zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

ye ghazal abhi abhi kaheeN parrhi hey, yaheeN GS
par…Amjad bhai shaed aap ney nahi deikhi.
Anyway, bohat khoobsoorat ghazal hey, thanx:k: for
the ghazal and coming to GS;)

Thanx Every one...
Amal , main nay nahi daykhi otherwise main kion post kurta issay doobara :)
Koyal ? Aaap koun? :p
main naraaz nahi hoon just didnt get time, aur tu nothing special! :)

Nice....

so sad

Amjad this is not right, yaar ager tum nay kal meri dairy per hi li thi tu ajj yeah ghzal post kion ker di, its mean next time you have not permission to touch my things.
So bad realy realy so bad.

:( cute_ranja

Re: zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye

amjad bhaee its beautiful, especially the last verse :k:

Re: so sad

oeyyy khabardaar hamaray bahi per ilzam tarashi ki tu…acha aeinda asi galati na karna..warna:soldier:

hahahha

Suno Jano, app kaa bhai waqi bara woh hay ager yaqeen nahi ata tu uss ko pooch lena yeah kiss ki dairy say churia hay uss nay, aur jub main nay uss ko kaha kay this is not right uss nay kaha kay main mode ko keh ker tum ko block ker wa doon gaa dekho sary aam dhamikian deh raha hay woh, kia www.gupshup.org per be pakistani Govt yaa FBI waly chala rahy hain kia.
main Wada Saieen say poochna chahta hoon kia app bagir kissi waja say bi kissi kay kehny per block ker sakty hain. this is not fair ager aissa howa to main www.urdupoint.com waly Ali Ch. ko likhoon gaa woh app kay khaylaaf apny akhbaar main chapy gaa.

==============================================
Mujh ko tasleem kay main sharabi hoon
phir bi tabiat ajeeb pai hay
Main nazir say meh peeta hoon

Meri Rindhi bi paarsai hay

Cute_ranja