Zindagi

Mudat’ton se,
Jism ke jhoolay mein dil,
Murdaa bachey ki tarah,
Khamosh hai,
Aur zindagi,
Ik baawli maan ki tarah,
Jhoola jhulaaye jati hai,
Pankhaa hilaaye jati hai..

Re: Zindagi


aaaaaaaaaaaaaawwwwww...loadshedding ke dauraaniye meN dastii pankhaa hii kaam aataa hai...sunaa hai ab to dastii pankhe bhii kiraaye par milne lage haiN. :D

Re: Zindagi

isi leay to un ka naya naam hai HIMMAT FAN
jitni himmat itni hawa

Re: Zindagi

murda dil lagta hia bohut kuch tootta hai :snooty: