SIR MOHAMMED IQBAL
ZINDAGI
Ber ter az andeshaa-e-sood-o-ziyaa-n hai zindagi
Hai kubhi jaan aur kabhi tasleem-e-jan hai zindagi!
Too issay paimaanaa-e-imroz ferdaa say na naap
Jaavidaa-n paihum dawaa-n, her dum jawaa-n hai zindagi!
Apni duniyaa aap paidaa ker ager zindo-n may hai
Seer-re Adam hai zameer-e-koon fakaa-n hai zindagi!
Zindagaani ki haqeeqat koh-ken kay dil say pooch
Joo-e-sheer-o-teeshaa-o-sung-gay garaa-n hai zindagi!
Bundagee may ghut kay reh jaati hai ek joo-e-kam aab
Aur azaadi may bayher-e-bay-karaa-n hai zindagi!
Aashkaara hai yeh apni qoowat-e-taskheer say
Ger cha ek mutti kay paiker may nihaa-n hai zindagi
Qoolzum-e-husti say too oobhraa hai maanind-e-hoobaab
Is ziyaa-n khaanay may tera imtihaa-n hai zindagi
Khaam hai jub tuk to hai mitti ka ek anbaar too
Pookhtaa ho jaaye to hai shamsheer-e-bay-zinhaar too!
Ho sadaaqat kay liye jis dil may mernay ki tadap
Pahlay apnay paiker-e-khaaki may jaa-n paidaa karay
Phoonk daalay ye zameen-o-aasmaan-e-moostaar
Aur khaak-aster say aap apna jahaa-n paida karay
Zindagi ki qoowat-e-pinhaa-n ko ker day aashkaar
Taa ye chingaari farogh-e-jaawidaa-n paida keray
Khaak-e-mashriq per chmak jaaye misaal-e-aftaab
Taa badakhshaa-n phir wohi laal-o-goher paida keray
Soo-e-gardoo-n naala-e-shab-geer ka bhayjay safeer
Raat kay taaro-n may apnay raaz-daa-n paida keray
Ye ghadi mehsher ki hai too arsaa-e-mehsher may nai!
Paysh ker ghaafil amal koi ager dafter may hai!