***zindagi tujhko khabar ho nahi sakti iski
kis tarah tujhko basar main ne subh-o-shaam kiya
safha-e-zeest pe kis ne hain utaarey jugnoo
haan! meri maan ki duao’on ne yeh kaam kiya
zindagi main to na thi koe bhi fursat ki ghari
mar k bhi hum ne ghari bhar ko na aaraam kiya
zabt ki rooh pe zakhmoon ka tasalsul kiyoon hai
kiya din tum ne ghareeboon ki tarah shaam kiya ?
shab-e-zulmat main jalaey hain baghawat k charaag
bari mushkil se ujaloon ko sar-e-aam kiya
muncho
2
Re: Zindagi
shab-e-zulmat main jalaey hain baghawat k charaag
bari mushkil se ujaloon ko sar-e-aam kiya
waah kia kahnay g!
Complete one, Thanks for sharing :-)
hum ne uska bhi dil se ehtraam kiya
baarha jis ne hamein baz'm main badnaam kiya
hum se pochey ju kisi ne khushi k my'ni
hum ne honton pe fakhar se tera naam kiya
qandeel-e-wafa khoon-e-jigar se hai jalae
be-lau's muhabbat ne bhi kiya kaam kiya
zindagi tujhko khabar ho nahi sakti iski
kis tarah tujhko basar main ne subh-o-shaam kiya
safha-e-zeest pe kis ne hain utaarey jugnoo
haan! meri maan ki duao'on ne yeh kaam kiya
zindagi main tu na thi koe bhi fursat ki ghari