ZINDAGI

ZINDAGI
Pal pal kiun badalti hey zindagi
ajjab chaal chalti hey zindagi
zindagi ke sath sath chalo tu
phir sath sath chalti hey zindagi
nimaaz,roza,haj,zakawat
yeh tu sab hein ibadaat
jo kissi ke kaam aaein aur
us mein paain woh raahat
un ke gale milti hey zindagi

ziarat karo umra karo ya karo haj
gurdware jaao ya mandar mein geet o saaz
ganga jamna nah dho kar ho jao pako saaf
tum sab apna apna ada karo farz

beshak ro ro ke girgiraao bewaqt tahujud

peshani per pad jaein nishane sajood
humsaaey mein gar bhoka ho aik bhi wajood
phir ye ibadat yeh wazeefey kiss kaam ke
zindagi ka yaaro yeh tu nahein maqsood

bhoke ko koi khana kilaaey
muflas ko koi qabaa phenaaey
be ghar ko koi chat dey dey
kissi ko koi muskaraht dey dey
iss ko kehtey hein bandagi
bandagi ko phir milti hey zindagi

woh hota hey khush naseeb shaks
istreh se jiski guzarti hey zindagi

ZAFAR

Re: ZINDAGI

Zaffer bhai bohat hi acha likha aap nay carry on with the love of Islam and Insaniyat.
Duniya tay rukh a ho jiya bain khlon
Kol bavain tay hasun loki door javain tay ron

Re: ZINDAGI

Very nice indeed Zafar :k: