ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahin ik hasiin saa Khvaab hai kahin jaan-levaa azaab hai
kahin chhaNv hai kahin dhuup hai kahin aur hii koi ruup hai
kaee chehare is mein chhupe huay ik ajiib c ye naqaab hai
kahin kho diyaa kahin paa liyaa kahin ro liyaa kahin gaa liyaa
kahin chhiin letii hai har Khushii kahin meharabaan behisaab hai
kahin aa.Nsuo’n kii hai daastaa’N kahin muskuraahaTo’n kaa bayaa’N
kahin barqato’n kii hai baarishein kahin tishnagii behisaab hai
ye jo zindagii kii kitaab hai…
Girls n Guys !
I would really appreciate if i get replies in the form of SHER/POEM regarding “ZINDAGI”
So please Contribute.
At least 50 replies expected from Dr. Jee 
Re: ZINDAGI ...!!!
I guess not many people r interested in poetry regarding "ZINDAGI". But I am. And thats Y im gonna post a reply myself :)
phool ban kar muskurana zindagi hai
muskura k gham bhulana zindagi hai
jeet kar hi khush huay to kya hua
haar kar khushian manana zindagi hai
takmeel
3
Re: ZINDAGI ...!!!
Jinhain zindgi ka shaoor tha
Unhain bazari na bhuja dia
Jo girain tha sina-e-chak par
wohi ban ka bathain hain motbar
takmeel
4
Re: ZINDAGI ...!!!
Mian na faqat mangi tha Tuj sa zindgi ki bhek
Ya kab kaha tha muj ko masalsal azab da
takmeel
5
Re: ZINDAGI ...!!!
** Zindgi** ka yahi almiya ha sagar
jis ko hm chahain wo kbhi na mila
takmeel
6
Re: ZINDAGI ...!!!
** Zindgi** ka yahi almiya ha sagar
jis ko hm chahain wo kbhi na mila
takmeel
7
Re: ZINDAGI ...!!!
meri zindgi ka alang main kai ghatian kae mor hain
meri wapsi b hoe agar mujy rasta nahi ae ga
takmeel
8
Re: ZINDAGI ...!!!
** Zindgi** kisi muflis ki qba ha kya
hr gari dard ka pawand lga jata hain
takmeel
9
Re: ZINDAGI ...!!!
Sansoon ka silsala ko na do **zindgi **ka nam
zeena ka bawjood b kuch log mar gae
takmeel
10
Re: ZINDAGI ...!!!
Kbhi zindgi ik mazah the lga kahkaha or guzar gae
yahi zindgi ab safar ha jo kathan b ha duswar b ha
takmeel
12
Re: ZINDAGI ...!!!
zindgi guzarna ka fun kuch sikha nahi
or sara ilzam Khuda pa dharta hoon
takmeel
13
Re: ZINDAGI ...!!!
hum zindgi ki jang main hara zaror hain
lakin kisi mahaz par paspa nahi hoa
takmeel
14
Re: ZINDAGI ...!!!
mera khyal main itna hi kafi hain
Bacha khush ho gya ho ga
Re: ZINDAGI ...!!!
hahaha doc...thumbs up to u! Agar 50 ho jaati toh...
here's one. Is ko doc ki taraf se le lijiye ablaa.
"wo jis ko saunp diya hae zindagi ka sarmaya
suna hae wo to kisi aur ki amaanat hae"
Re: ZINDAGI ...!!!
zindagi ye toh nahi tujhko sanvaara hi na ho
kuch na kuch tera ehsaan utara na ho
kuu-e-qatil ki badi dhoom hai, chal kar dekhen
kya khabar, kuucha-e-dildaar se pyara hi na ho
dil ko chhu jaati hae raat ki awaaj kabhi
chaunk uthta tu kahin tune pukara hi na ho
kabhi palkon pe chamakti hae jo ashqo ki lakeer
sochta hun tere aachal ka kinara hi na ho
zindagi ek khalish de ke na reh jaa mujhko
dard wo de jo kisi surat ganvara hi na ho
JAN NISAR AKHTAR
Re: ZINDAGI ...!!!
zindagi ye toh nahi tujhko sanvaara hi na ho
kuch na kuch tera ehsaan utara na ho
kuu-e-qatil ki badi dhoom hai, chal kar dekhen
kya khabar, kuucha-e-dildaar se pyara hi na ho
dil ko chhu jaati hae raat ki awaaj kabhi
chaunk uthta tu kahin tune pukara hi na ho
kabhi palkon pe chamakti hae jo ashqo ki lakeer
sochta hun tere aachal ka kinara hi na ho
zindagi ek khalish de ke na reh jaa mujhko
dard wo de jo kisi surat ganvara hi na ho
JAN NISAR AKHTAR
Re: ZINDAGI ...!!!
Doc. Aap ne das k baad hi bas kar di. Aap ne 50 karni hai. :)
AnywaYz. Nice sharing Takmeel n Jhanjharwali.
Re: ZINDAGI ...!!!
zindagi ko kareeb se dekho
iska chehra tumhein rula de ga
hum se poocho dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila de ga
Re: ZINDAGI ...!!!
teri berukhi or teri mehrbaani
yehi moat hai or yehi zindgaani
bataoon mein kya aansu'on ki haqeeqat
jo samjho to sab kuch, na samjho to paani