Zindagi

Re: Zindagi

Raat bhi neend bhi kahani bhi
haay kya cheez hai jawani bhi

ek paigham-e-zindagani bhi
aashiqi marg-e-naagahani bhi

iss adaa ka teri jawaab nahi
mehrbaani bhi sergarani bhi

dil ko apne bhi gham thay duniya mein
kuch balaaein thi aasmani bhi

mansab-e-dil khushi lutaata hai
gham-e-pinhaan bhi paasbani bhi

dil ko sholon se karti hai sairaab
zindagi aag bhi hai paani bhi

laakh husn-e-yaqeen se barhkar hai
inn nigahon ki badgumaani bhi

ishq-e-nakaam ki hai parchaee
shaadmani bhi kaamraani bhi

dekh dil ke nigaar khaane mein
zakhm-e-pinhaan ki hai nishaani bhi

khalq kya kya mujhe nahi kehti
kuch sunuu main teri zabaani bhi

aaye tareek-e-ishq mein sau baar
maut ke daur darmiyaani bhi

dil-e-badnaam tere baare mein
log kehte hain ik kahaani bhi

nazm karte koee naee dunya
ki ye dunya huee purani bhi

dil ko aadaab-e-bandgagi bhi na aaye
kar gaye log hukmaraani bhi

paas rehna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhi mezbaani bhi

jo na aks-e-jabeen-e-naaz ki hai
dil mein ik nuur-e-kehkashaani bhi

By: Firaq Gorakhpuri