Zindagi

Hum tu yun apni Zindagi se miley
ajnabi jaise ajnabi se miley

her wafa aik jurm ho goya
dost kuch aesi berukhi se miley

phool he phool hamne maange thay
daagh he daagh zindagi se miley

jis tarha aap hamse milte hain
aadmi yun na aadmi se miley

By: Sudarshan Faakir

Re: Zindagi

:k:

Re: Zindagi

nice 1 :)

Re: Zindagi

Zindagi yun huee basar tanha
Qafila saath aur safar tanha

din guzarta nahi hain logon mein
raat hoti nahi basar tanha

Raat bhar bolte hein sannate
raat kaate koee kidhar tanha

apne saaye se chonk jaate hein
umr guzri hain iss qadar tanha

hum ne darwaze taq tu dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha

By: Gulzar

Re: Zindagi

Na jaana aaj taq kia shai khushi hai
hamari zindagi bhi zindagi hai

tere gham se shikayat see rahi hai
mujhe sach-much barhi sharmindagi hai

mohabat mein kabhi soucha hai yun bhi
ki tujh se dosti ya dushmani hai

Zamana zulm mujh per kar raha hai
tum aisa kar sako tu baat bhi hai

jhalak masoomiyon mein shokhiyon ki
bohat rangeen teri sadagi hai

isse sunn lo sabab iska na puucho
mujhe tum se mohabat hogai hai

suna hai ik nagar hai aansoo'on ka
ussi ka dusraa naam aankh bhi hai

tumhara zikr aaya ittifaqan
na bighro baat per baat aa gai hai

abhi kuch dum ka hoon mehman muuh na phero
abhi aankhon mein kuch kuch roshni hai

By: Firaq Gorakhpuri

Re: Zindagi

Hasti apni habaab ki si hai
ye numaish saraab ki si hai

naazuki uss ke lab ki kia kahiye
pankhri ik gulaab ki si hai

baar baar uss ke dar pe jaata hoon
haalat ab iztiraab ki si hai

Meer unn neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
By: Meer Taqi Meer

Re: Zindagi

Mere dukh ki koee dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo

Nakhuda ko khuda kaha hai to phir
doob jaao khuda khuda na karo

ishq hai ishq ye mazaaq nahi
chund lamhon mein faisla na karo

Ashiqi ho ke bandagi faakir
be-dili se to ibtada na karo

By: Sudarshan faakir

Re: Zindagi

lovely as usual ...
zindagi pe ek aur tabsara ...

**ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai **
**kahin ik hasin sa Khwab hai kahin jaan-levaa azaab hai **
**kahin chaaon hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai **
**kai chere iss mein chhupe hue ik ajib si ye naqaab hai **
kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
kahin chiin leti hai har Khushi kahin meharban behisaab hai
kahin ansoo(n) ki hai dastan kahin muskurahaton ka bayan
kahin barkaton ki hai baarishein kahin tishnagi behisaab hai
(Rajesh Reddy)

Re: Zindagi

very nice....

Re: Zindagi

Zindagi khwaab-e-parishaan hai koee kya jaane
maut ki larzish-e-mishgaan hai koee kya jaane

Raamish-o-rang ke aivaan mein lailaa-e-hayaat
sirf aik raat ki mehmaan hai koee kya jaane

Gulshan-e-zeest ke har phool ki rangeeni mein
dajla-e-khoon-e-rag-e-jaan hai koee kya jaane

rang-o-aahang se bajtii huee yaadon ki baraat
rahrav-e-jadaa-e-nisyaan hai koee kya jaane
By: Josh Malihabadi

Re: Zindagi

Raat bhi neend bhi kahani bhi
haay kya cheez hai jawani bhi

ek paigham-e-zindagani bhi
aashiqi marg-e-naagahani bhi

iss adaa ka teri jawaab nahi
mehrbaani bhi sergarani bhi

dil ko apne bhi gham thay duniya mein
kuch balaaein thi aasmani bhi

mansab-e-dil khushi lutaata hai
gham-e-pinhaan bhi paasbani bhi

dil ko sholon se karti hai sairaab
zindagi aag bhi hai paani bhi

laakh husn-e-yaqeen se barhkar hai
inn nigahon ki badgumaani bhi

ishq-e-nakaam ki hai parchaee
shaadmani bhi kaamraani bhi

dekh dil ke nigaar khaane mein
zakhm-e-pinhaan ki hai nishaani bhi

khalq kya kya mujhe nahi kehti
kuch sunuu main teri zabaani bhi

aaye tareek-e-ishq mein sau baar
maut ke daur darmiyaani bhi

dil-e-badnaam tere baare mein
log kehte hain ik kahaani bhi

nazm karte koee naee dunya
ki ye dunya huee purani bhi

dil ko aadaab-e-bandgagi bhi na aaye
kar gaye log hukmaraani bhi

paas rehna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhi mezbaani bhi

jo na aks-e-jabeen-e-naaz ki hai
dil mein ik nuur-e-kehkashaani bhi

By: Firaq Gorakhpuri

Re: Zindagi

Zindagi ka dard lekar inqalaab aaya tu kya
ek joshida pe ghurbat mein shabaab ayaa tu kya

ab tu aankhon par gham-e-hasti ke parde parh gaye
ab koee husn-e-mujassim be-naqaab aaya tu kya

khud chale aate tu shayad baat ban jaati koee
*baad tark-e-aashqi khat ka jawaab aaya tu kya *

ek tajalli se munawwar kijiye qatl-e-hayaat
her tajalli par dil-e-khaana kharaab aaya tu kya

matlaa-e-hasti ki saazish dekhte hum bhi Shakeel
hum ko jab neend aa gaee phir mahataab aaya tu kya

By: Shakeel Badayuni