Jo zindagi thee meri jaan tere saath gaee
Bas ab tu umer ke naqshay mein waqt bharna hai
Sehar huwi tu sitaroon ne moond lee aankhain
Woh kya karain ke jinhain intezaar karna hai ...
kio zindagii ki rah mein majboor ho gaye
itna hoay Qareeb k hum duur ho gaye
Mere sabar ka na kar imtehaan, meri khamoshi ko sada na day
Jo tere baghair na jee sakay, ussay zindagi ki dua na day ...
zindagi nay meri mafhoom jahan say paaya
mujh ko acha nahin lagta ussay maqtul kahna
pyaar kay sachay marasim ka pata deta hai
khut kay alqaab mein mujhay uska pagal kahna
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhee kia kitaab hai
kaheen aik haseen sa khwaab hai kaheen jan-leva azaab hai *
zindaa huu.N is tarah ki Gam-e-zindagii nahii.n
jalataa huaa diyaa huu.N magar roshanii nahii.n
wo muddate.n huii.n hai.n kisii se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhii tak bujhii nahii.n
Woh paas se guzray tu maloom huwa
Zindagi yun bhi dabbay paoon guzar jati hai ...
youn tu kia cheez zindagii mein nahi jaise sochii thee apne jee mien nahi ik shaks hai zindagii jaisa aur wo meri zindagii mein nahi*
Sunaa Hai Zindagii Viiraaniyo.N Ne Luut Lii Milakar
Na Jaane Zindagii Ke Naaz_Bardaaro.N Pe Kyaa Guzarii
- wo ik baar maray jinko tha hayaat se pyaar jo zindagii se guraiza`n thay roz martay rahay *
Mere saath woh lagg ke rou diya,mujhe faqat itna woh keh saka
Jisse janta tha maiN zindagii,woh to sirf weham-o-khayal tha..!!!
Woh tu mitt kar mujhe mil hi gaye raahat warna
Zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahee ...
^ :k:
*
ujalay apnii yaado`n k hamaray saath rehne du
najanay kis galii mien zindagii ki shaam ho jaye*
kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal kar
Zindagi ko bahut pyaar hum ne diya
Maut se bhi muhabbat nibhaayenge hum
Rote rote zamaane mein aaye magar
Hanste hanste zamaane se jaayenge hum ...
- dukh mere badan ki Qaba ho gayee logo zindagii mere liye saza ho gayee logo hum ne bhee ibn-e-adam per ker lia bharosa hum se najanay kio khata ho gaye logo *
Issi umeed pe kaati hai zindagi mein ne
Woh kaash poochtay mujh se ke aarzoo kya hai ...
*
hamien kaheen na kaheen tu bicher jana tha
ye haadsa bhee merii zindagii mein aana tha
wo ik shaks hamien sarii umer tarsay ga
naseeb us k ke us ne hamien ganwana tha *
Yeh fiza jo gard’o’ghubaar hai, meri bekasi ka mazaar hai
Mein woh phool hoon jo khil na saka, meri zindagi mein wafa kahaan
Chaleen aisi dard ki aandheyaan, mere dil ki basti ujjar gaee
Yeh jo raakh si hai bhuji bhuji, hain issi mein meri nishaneyaan…
thankoo
- tum hoay hum-safaR tu zindagii hoee azeez warna mujh mien tu zindagii ka hosla na tha *