Zindagi tujh ko jiya hai koi afsos nahi
Zehar khud maine piya hai koi afsos nahi
Meri kismat mein jo likhe thay unhi kaanton se
Dil ke zakhmo ko siyya hai koi afsos nahi ...
*idher zindagii ka janaza uthay ga
udher zindagii un ki dushman banay gi
Qayamat se pehle Qayamat hai yaaro
mere saamnay merii duniya lutay gi *
***Wohi hai zindagi lekin Jigar yeh haal hai apna
Keh jaisay zindagi say zindagi kum hoti jaati hai ...
Need a break for Dinner ... I'll b rite back !
*
mujhe zindagii ki dua na du mujhe zindagii ki talab nahi
kabhii jeena mujhe azeez tha ye baja sahi mgr ab nahi *
Aa bhi jao ke zindagi kam hai
Tum nahee ho tu har khushi kam hai
Wada kar ke yeh kaun aaya nahee
Shehar mein aaj raushni kam hai ...
*badla wafa ka dein gey bohat saadgi se hum
tum hum se rooth jaao gey aur zindigi se hum *
zabardat HH and arif bhai
aik meri taraf say b ho jai
zindagi jabr musalsal ki tarah kati hay
jane kis jurm ki pai hay saza yad nahin
Bewafa zindagi ne jab chorh diya hai tanha
Maut ne pyar se pehlu mein bithaaya mujh ko
Woh diya hoon jo muhabbat ne jalaya thaa kabhi
Gham ki aandhi ne sar-e-shaam bujhaaya mujh ko...
*jo kabhi tu parhney bhethey, mujhey hurf hurf dekhey
teri aankhien bheeg jaaien, tu kitaab bhool jaaye
teri sooch pe haavi ho meri yaad iss tarhan
keh tu apni zindigi ka yeh nisaab bhool jaaye
*
ujalay apni yadon k. hamaray pas rehnay do
na jane kis gali mai zindagi key sham ho jaye
Zaroori hai tu bahut zindagi mein Ishq magar
Yeh jaan lewa zarorat Khuda kisi ko na day ...
wah kia baat hay,
jo b lamhay terey baghair katey
zindagi mai shuumar kon karey
ye bhi durust hay keh mein tujh ko bhula chuka
ye bhi ghalat nahin keh meri zindigi hay tu
Na yeh zindagi meri zindagi na yeh dastaan meri dastaan
Mein khayalo-weham se door hoon mujhe aaj koi sada na day
Mujhe chor day mere haal pay tera kya bharosa ay Chaaragar
Teri yeh nawazish-e-mukhtasir mera dard aur barha na day ...
meri zindigi hay zaalim terey ghum se aashkara
tera ghum hay dar-haqeeqat mujhey zindigi se pyaara
koi mujhey dekhey ye junoon nahin tou kya hay
keh ussi kay ho kay reh gaye jo na ho saka humara
gila nahin tuj say zindagi key wo nazreyee he badal gayee hain
mere wafa, wo terey taghafal ke noha hwan tak ke so gayee hay
Na jaaney koun sa zulm reh gaya hay baqi
eoh dua maangtey hain meri zindigi kah liye
Apna yeh haal ke jee haar bhi chukay lutt bhi chukay
Aur muhabbat wohi andaaz puranay maangay
Zindagi hum tere daghoon se rahay sharminda
Aur tu hai ke sada aaena khanay maangay ...
pehlay b log aaye kitni he zindagi main
wo har tarah say likan ooron say tha juda sa
*na-janey kiyon dil ko ye ehsaas hota hay
tu nahi hay paas phir bhi paas hota hay
iss dil-e-nadaan ne tujh ko chaha bhi bohat hay
terey hi dam se tou zindigi ka ehsaas hota hay *