Zindagi

**Zindagi tham si gayee, safar ruk gaya lekin,
Meray atraaf manzar phir bhi badlaa kartay hain,
Meray dil ko kissi raah ka nishaan mila lekin,
Meray qadam us pay chalnay say gilaa kartay hain.

Main apnay aas paas logon ko dekha karta hoon,
Main un ko dekhoon to woh mujh ko dekhaa kartay hain,
Is mukhtasar say safar par main hairat karta hoon,
Iss raastay main kitnay dil dukhaa kartay hain.

Mujhay tanhaai ki yeh zindagi pasand hai meri,
Log miltay hain kam, per dil say milaa kartay hain,
Per aik wastay aur mujh ko tanhaai hai pasand,
Iss say phir log kum naraaz huaa kartay hain.

Main chahta hoon meri har baat main sachaai ho,
Per meray lub meri baaton ko jhootaa kartay hain,
Issi dar sai logon ko baat yeh buri naa lagay,
Hum apnay aap ko logon say judaa kartay hain.

Lajawab**

very nice:k:

zabardust:k:

Re: Zindagi

[QUOTE]
*Originally posted by Lajawab: *

Mujhay tanhaai ki yeh zindagi pasand hai meri,
Log miltay hain kam, per dil say milaa kartay hain,
Per aik wastay aur mujh ko tanhaai hai pasand,
Iss say phir log kum naraaz huaa kartay hain.
Lajawab**
[/QUOTE]

well said.

Mujhay tanhaai ki yeh zindagi pasand hai meri,
Log miltay hain kam, per dil say milaa kartay hain,
Per aik wastay aur mujh ko tanhaai hai pasand,
Iss say phir log kum naraaz huaa kartay hain.

very well said indeed :)

bohut khoob:k:

Thank you guys...

very nice :k: :k: :k:

Lajjo Darling .. Wah :slight_smile:

Nice One :k:

bohut khoob :k

Meray qadam us pay chalnay say gilaa kartay hain.

Re: Zindagi

*Main chahta hoon meri har baat main sachaai ho,
Per meray lub meri baaton ko jhootaa kartay hain,
Issi dar sai logon ko baat yeh buri naa lagay,
Hum apnay aap ko logon say judaa kartay hain.
*

*wowwwwwwwww zabardsat to app shaair bhiiiiii hain .. impressive
*

Re: Zindagi

Bas yaar…Kabhi kabhar ghalti ho jaati hai…

Re: Zindagi

MASHALLAH bohat khoob
**kafi arsay k baad aap ke terf say koi poetry aiee hay **



:devil:

Re: Zindagi

Lajawaab - that was LAAJAWAAB!!

And the Last 1 was just brilliant as though It was written for me.