Zindagi
Zindaghi amanat hai is ki hefazat karo,
Zindaghi se pyar karo, Zindaghi se muqabla karo,
Zindaghi aik lamha hai, Zindaghi haqeeqat ki manad hai,
Zindaghi se insaaf karo, Zindaghi muskrane ka naam hai,
Zindaghi haseen yaadoun ka tuhfa hai,
Aghar tumhein Zindaghi se mohabbat hai tou waqat se mohabbat karo, Aur aik khubsoorat dost ki talash karo.
Zindaghi ko is tarah jiyo ke dekhne wala tumhari tareef kare,
Zindaghi jeene ka naam nahi is ko ache amaloun se bania jata hai,
Zindaghi ko kisi ke naam karna bohat mushkil hai magar guzarna bhi asan nahi,
Zindaghi yahi nahi ke khushian hi khushian houn milein gham bhi khisa daar hotein hein,
Zindaghi se insaan bohat khuch pata hai or bohat kuch kho deta hai,
Zindaghi mein her dukh ke baad sukh bhi milta hai.
Zindaghi aik phool ki manad hai.
HASIL-E-ZINDAGHI
Dosroun per faher karne ki bajaie apni zaat ko is qabil banaiay ke loogh aap per faher karein yahi HASIL-E-ZINDAGHI hai.