zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha
hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha
ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha
yaar-o-aghayaar ke haathon mein kamanein thi ‘Faraz’
aur sab dekh rahe the ke nishana tu tha
(Ahmed Faraz)
Re: zindagi yun thi
kia huwa yaar-o-aghyaar samajh nahin aaya 
LP
5
Re: zindagi yun thi
haan…aur zaib-e-hikayat bhi and dar-ba-daron bhi 
Re: zindagi yun thi

Zaib-e- Hikayat = title of the story (fasana)
Dar-ba-daron = One who has no thikana
Yaar-o- aghyaar (apne parae)
Kamaan to samajh aya na? that is bow
KKF kahan chale gaye 
Re: zindagi yun thi
@LP
urdu poetry forum pay
Posts 66,600 kar k bhi yeh mamla hai tu phir tu Allah he Hafiz hai urdu ka 
Re: zindagi yun thi
:nono: Insaan hamesha seekhne ke amal main rehta hai.
LP
10
Re: zindagi yun thi
poetry mai zyadah posts nai krti na…I never studied urdu…buss spoken urdu aati hai…so its not much
Re: zindagi yun thi
mazeed sekhnay kay amal may rehta hai sirf amal may nahi rehta :p, thanks for liking 
Re: zindagi yun thi
tu sir ji KKF ya muqawwee123 say mazeed guftoo-shaneed k amal ka aaghaz karain ta k aap ko urdu parhayee bhi ja sakay or samjhayee bhi…
lakin aap ko urdu nahi ati tu please CSS kar lain wahan aap ki qadar ho gi

Re: zindagi yun thi
civil services of Pakistan
Sannan
15
Re: zindagi yun thi
um ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log**
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha**
wah wah
kaafi dinnon baad aik mukhtalif poetry daikhnay ko milli :lajwab:
thanks for sharing and keep sharing :cobra:
Re: zindagi yun thi
ok
thanks for liking ;), you can also listen this ghazal in voice os salma agha