**
Zindagi yun hui basar tanha
kaafla sath aur safar tanha
apnay saye sai chonk jatay hain
umr guzri hai is qadar tanha
Raat bhar boltay hain saNnatay
raat katay koi kidhar tanha
din guzarta nahi hai logon main
raat hoti nahi basar tanhaa
humnay darwazay tak to dekha tha
phir na janay gaye kidhar tanha **
ASA
2
chaand tanhaa hai aasmaaN tanhaa
dil milaa hai kahaaN kahaaN tanhaa
bujh gaii aas chhup gayaa taare
tharTharaataa rahaa dhuaaN tanhaa
zindagi kya isi ko kahate haiN
jism tanhaa hai aur jaaN tanhaa
hamsafar koi gar mile bhe kahiN
donoN chalate rahe tanhaa tanhaa
jalati bujhati si raushani ke pare
simaTaa simaTaa saa ek makaaN tanhaa
raah dekhaa karegaa sadiyoN tak
chhoR jaayenge ye jahaaN tanhaa
Good TANHAII SWEETAS
HERE is another Ghazal
**
phool ban na kisi gulshan mein mehaktay rehna
lekin phir bhi kaantoon ki nigahon mein khataktay rehna
meri qismat mein na suraj hai na sitara na dia
jugnuon tum mere aangan mein chamaktay rehna
bandh kay hath mere zanjeeron se
choriyon se taqaza hai khanak tay rehna
aao hum mil kar kisi safar par niklein
qafloon ka to muqadar hai bhataktay rehnai
gungunana kabhi, hasna kabhi, ghazal kehna
Uff ye badlay hue lehjoon mein sisaktay rehna
**