Zindagi tujh ko jiya hai, koi afsos nahi
zehar khud maine piya hai, koi afsos nahi
Maine mujrim ko bhi mujrim, na kaha duniya mein
bus yehi jurm kiya hai, koi afsos nahi
Meri kismat mein jo likhe theyy, unhi kaanton se
dil ke zakhmo ko siyya hai, koi afsos nahi
Abh gire sang, ki seeshon ki ho barish, Fakir
abh kafan oodh liya hai, koi afsos nahi
ye to nahiN ke gam nahiN
haaN meri aaNkh nam nahiN
tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN
ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahiN
maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahiN