Zindagi shurt hay…
Ab phool khilain ya na na khilain…
Tu sath chulay ya na chulay…
Zindagi shurt hay…
Suraj ki shoaon ki turah…
Khuboan kay suraboan ki turah…
Zindagi shurt hay…
Ab main sumjha kay tairay lums ki nisbat Jaanan
Dil pay woh aankhoan ki gulabi ka nushaa acha tha
Tu nay samjha main tairay rung chualoon ga kabhi
Mairay pindaar say woh taira gilla acha tha
Jhilmilati hui hur shaam kay daurahay pur
Main nay daikha hay tujhay chand sitaroan ki turah
Main nay chaha hay bus itna aye meri jaan-e-jahan
Tu mairay paas rahay Saya-e-Yuzdaan ki turah
Tujh kau paakur main kissi aur kau paana chahoon…
Maut aajayai jau phir kabhi murna chahoo…
Aye meri doobti saansoan ki ameen
Aye meray tottay taroan ki zameen…
ab
Zindagi shurt hay ![]()
Wah... SO beautiful and touchy....
Waqae Zindagi shart hai....
Thanks for sharing Seema ...
Beautiful :k:
Re: ~()Zindagi Shurt Hay ()~
Wah .. Kia baat hay
bohat khubsurat
its true ... zindagi shurt hai thanks for sharying..
nice :k: :k:
khubsurat hai
wow
great
lajawab:k::k::k:
thanks sis:flower1:
[v]3910.399479[/v]
:)
very nice :k:
Beautiful... and thanks for sharing it
Re: ~()Zindagi Shurt Hay ()~
[QUOTE]
*Originally posted by Simply Seema: *
Zindagi shurt hay.................................
Ab phool khilain ya na na khilain............
Tu sath chulay ya na chulay...................
Zindagi shurt hay..................................
Suraj ki shoaon ki turah........................
Khuboan kay suraboan ki turah..............
Zindagi shurt hay..................................
Ab main sumjha kay tairay lums ki nisbat Jaanan
Dil pay woh aankhoan ki gulabi ka nushaa acha tha
Tu nay samjha main tairay rung chualoon ga kabhi
Mairay pindaar say woh taira gilla acha tha
Jhilmilati hui hur shaam kay daurahay pur
Main nay daikha hay tujhay chand sitaroan ki turah
Main nay chaha hay bus itna aye meri jaan-e-jahan
Tu mairay paas rahay Saya-e-Yuzdaan ki turah
Tujh kau paakur main kissi aur kau paana chahoon................
Maut aajayai jau phir kabhi murna chahoo.............................
Aye meri doobti saansoan ki ameen
Aye meray tottay taroan ki zameen............
ab
Zindagi shurt hay :)
[/QUOTE]
khoobsurat:)
pehlay yeh bataaiyeh yeh aap kee shairii hay?:)
doosray, iss par kuch arz karna chahataa hoon, agar yeh app kee apni shaairii hay tau bataaiyeh gaa jo main samjhaa woh kiss hudd tukk app kay teht-ush-shaoor maiN thaa iss naz'm ko likhtay huay? aur agar app kee nahiN bhee hay tub bhee app kay zaati khiyaalaat kiyaa haiN iss kay nafs-e-mazmoon aur tarkeeb-e-asha'r kay hawalay say...
ab aiyeh iss nazm kay markazi misray kee taraf kay jiss kay gird iss naz'm kaa saaraa mozoo ghoomtaa nazar aataa hay aur jiss nay iss naz'm kay Ghinnaa main aik jaL taraNg aur humm aahangi paidaa kar kay apnay sunnay waaloun kee tawajuh ko apni taraf mabzool karanay main haraawal dastay kaa ehm kaam kiyaa hay..
Zindagi shurt hay
dar haqeeqat, yeh misraa iss poori naz'm kay liyeh B-R-B canal kee haisiyat rakhtaa hay... yeh aik sarhad hay iss naz'm main mojood saari ranginiyoun aur ra'anaaiyoun kay atraaf...
jahaaN jahaaN fitrat kee khoobsortiyoun kaa zik'r hay wahaan wahaan iss jumlay nay aik hadd-e-taqaabul qaaim kar dee hay... qissa mukhtasir yeh kay, iss misray kee baar baar yaad dihaani apnay paRRhnay waaloun ko batlaa rahi hay kay agar zindagi main zindagi kii naimatoun kaa faaida uTThaanaa hay, khush rehna hay, mutmaain rehna hay tau Zindah rehna seekho.... YahaN Zindagi shurt hay say muraad dil kaa zindah rehnaa hay, jaisay kahaa jaataa hay:
Zindagi, Zindah dilli kaa naam hay
Murdah dil kiyaa khaak jiyaa kartay haiN?
issi liye jo zindah rehna chahatay haiN, woh apnay dil ko zindah rakhnay kee har mumkin koshish kartay haiN... kiounkay jaantay haiN kay yehi asal zindagi hay:
*
Mujhay Dar hay aey Dil-e-zindah kahin tu na mar jaaey
kay zindagi Ibaarat hay teray jeenay say!
*
bahut hi haseen baat kahi zindagi shart hai chahye jeenay ka mann na bhi hoo pur shart hai zindagi ~~
Jeenay ka Mann uss waqt nahiN hotaa jubb dil mar jaaey:nono3:
Re: Re: ~()Zindagi Shurt Hay ()~
u know wat u reminded m da urdu kay paperz where v suppose 2 give da Murkazi khayal of nazmz n ghazalz
agar us waqt itni urdu samajh main aati( i doubt whether i can do insaaf wid urdu even 8 tis stage
) tau i cud hv even topped da class :halo: but khair hay wateva u said did insaaf wid da theme n soul of da nazm :k:
hmmmm n reg dat who wrote tis nazm tau i think u can take a wild guess na ![]()
Re: Re: Re: ~()Zindagi Shurt Hay ()~
[QUOTE]
*Originally posted by Simply Seema: *
hmmmm n reg dat who wrote tis nazm tau i think u can take a wild guess na :D
[/QUOTE]
already did:):D
Nice :k:
PS: Waisay shart lagana… ![]()
Re: ~()Zindagi Shurt Hay ()~
WoOOOoOOow, beautiful… really very nice.. :k::k: