[thumb=B]JAN200.JPG[/thumb]
Wohi faasilay wohi raastay, wohi manziloon ke marhalay
Zindagi se jurray huwe hain har dam ghamoon ke silsilay
Woh naveed-e-aamad teri.... woh tera ehad-e-wafa
Hai dil mein nehaa ab bhi wafaoon ke walwalay
Bichee hain raah-e-tamanna mein aaj meri aankhain
Ke waadah hai tere aane ka, shaam se pehlay
Ajnabi galeyoon ki raahain, be-nishaan rastoon ki dhool
Poochoon mein tera patta, raah mein jo rah-bar milay
Utha sakti nahee aankhain meri tera baar-e-intezaar
Ab chale bhi aao ke dil ko mere chain milay
Rakha na bharam tu ne paas-e-wafa jaanaan !
Mayooseyoon ne cheen leye mere dil ke valvalay
Takraatay rahe raah mein jor-o-jafa ke patthar
Chaak hai apna daaman-e-dil, najaane kab silay
Hain numaayaan jism pe ab, meri junoon ki hikaayatain
Dam laboon pe aagaya hai, ab niklay ke tab niklay
Haal-e-khasta dekh kar mera, kehta hai mujh se zamaana
Saari wafaoon ke badlay Saleh, kya mile tum ko silay
Very nice thanks for sharing
Good one
beautiful :k: