**BulundiyaaN, Gehraai-yaaN
hudd-e-nazar tak phaila hua
yay husn mujh ko
zindgi ki taraf bulaatay rahay
goonjtay aabshaaroN ki dhamak,
falak per chaand taaroN ki chamak
Khushboo-oN main bharay yay chaman
titliyoN ka haseeN baankpan
KEYA YEHI ZINDAGI HAY?
magar…
laykin…
shayad…
nahiN, yay zindagi to nahiN
zindagi to bohat talKh hay, qaid hay…
bay reham waqt kay dermiyaaN
Bay reham waqt nay
titlyaaN cheen ker
choTay choTay say bachoN kay haatoN maiN ab
rung-e-KhooN bher diya
un ki sochoN peh phir paabundiyaaN lug gaeeN
qaid kerkay unhaiN
adh-mara kerdiya
sub hee khaamosh haiN
kuch bhi kehtay nahiN
ro rahay haiN, agarchay sada-aiN nahiN
saans layna hay laykin
hawaa-aiN nahiN
ho asar jin main aysi
duaa-aiN nahiN
sub hee kuch qaid hay
waqt kay haath main
ZINDAGI QAID HAY