zindagi ne yoon bikhera, reza reza kardiya

kuch nazar aata nahi hay, wo ujaala kar diya
sab hi apna aap bhoolay, wo tamaasha kardiya

kaan bhi parrti nahi hay ab to aawaz e zameer
khokhlay zehnon ne itna shor barpaa kardiya

haath khaali hain humaare or kuch rab e jaleel
too ne jo kuch bhi likha tha hum ne poora kardiya

maslay jaise chattaanen,rahnuma jaise hawa
waqt ne kitne falak boson ko bona kardiya

chunta phirta hoon main apne aapko hi raat din
zindagi ne yoon bikhera,reza reza kardiya

Re: zindagi ne yoon bikhera, reza reza kardiya

hmm,, khoob Dania,, buhat acha likha hai