**teri Khushbu ka pataa karti hai
mujh pe ehasan hava karti hai
shab ki tanhai me ab to aksar
guftaguu tujh se raha karti hai
dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane me raha karti hai
us ne dekha hi nahi varna ye ankh
dil ka ehvaal kaha karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo teraa ana karatii hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
baat kuchh aur huaa karatii hai
abr barsay to inayat us ki
shaaKh to sirf duaa karatii hai
masla jab bhi utha chiraaGon ka
faisalaa sirf havaa karatii hai…!
**