Zindagi main dosti ka safar

:flower1:
zindagi main dosti ka safar
kitnaa khoobsoorat safar
kitnaa madhur safar
kitnaa naazuk safar?

iss kay raastoun main
koie bhee rah guzar aisee nahin
koie shahraah koie pagdandee aisee nahin
jiss main kachi mitti aur paani kee khushbu nahin
agar khushbu na ho tau samjho
yeh raastay bhee pakkay ho gayee
aisay jaisay dil pathar kay ho gayee

kacchay raastoun kee khoobsoorati apni jagah
laikin yeh bhee ik haqeeqat hay ya keh lo fasaanaa
dukh keh lo yaa gham ka afsaanaa
kacchay raastay nafratoun kay saaye main
ghussay kee parcchaaien main
aksar ho jaatay hain ojhal aankh say

Zindagi main dosti ka safar!

:flower1:

–Gadha

wonderful gadha ji kia kehna!

Beautiful.... keep it up... and please do share things like this in this forum... thanks

bohat acha haye Gadha bhai!very nice.. :)

very nice gadha bhai :)

:k:boht achei gadhooo bhae:)

Tuj ko bhi sang dil bana day gaa
Waqat sab kuch tumen sikha day ga
Doob jaey gaa jab yaad kaa soraj
thu mera naam tak bulaa day gaa :)

very nice :k:

[QUOTE]
*Originally posted by Sandleen: *
Tuj ko bhi sang dil bana day gaa
Waqat sab kuch tumen sikha day ga
Doob jaey gaa jab yaad kaa soraj
thu mera naam tak bulaa day gaa :)
[/QUOTE]
why don't i do it it the present tense instead of future:( atleast, future tau theek guzray gaa:(

Rafaqtaien kabhi zanjir paa nahi hoten
Naa chal sako thu bichar jaoo doston ki tarah

nice ..

very nice..:):flower1:…enjoyed reading it..:slight_smile:

beautiful:k::k:

some one just sent me back this in my inbox:flower1:

*sigh

:k::k:

dau dau Thengeyyyyyyyy:crying:

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar..
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah..
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen.
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Youn dil ko har ek shaks par wara nahi karte
aankhon main har ek aqs utara nahi karte
honi hai to ek baar hi ho jaye mohabbat
Yeah bhool hai aisi kay dobara nahi karte

Ye mere Junoon ka hai moajza
Ke mainay apni zindagi tere naam kardi
Doston nay hamein akeyla chordiya
Tum nay apni duaein mere naam kardi

Re: Zindagi main dosti ka safar

Its so beautiful … I am speech-less… :flower1:
Keep Writing…
and Thanks a lot for sharing…

pharamaa: mairii iss naz’m par toronto maiN muqeem aik column navess nay tabsuraah kartay huay kahaa thaa kay kuch adhoori mehsoos hoti hay… and now i realize no matter how much i put words in this naz’m it will always be adhoori… I will have to keep writing for sure:)

Guzishta say pewastaa:


:flower1:
kacchay raastay nafratoun kay saaye main
ghussay kee parcchaaien main
aksar ho jaatay hain ojhal aankh say

Zindagi main dosti ka safar!

raastay jo ho jaatay haiN ojhal aankh say
yeh nahiN kay mitt jaatay haiN
inn raastouN kay nishaaN!

InsaaN khud apni Ana kaa hay maaraa
raastouN say churaa kay nazraiN
chall daitaa hay yeh kehtaa

‘kho gaie manzil
chuTT gayaa kaarwaaN!’

Zindagi main dosti ka safar!

manzil bhee wahin
raastay bhee wahin
duniyaa bhee wohi
ussool-e-duniyaa bhee wohi

badal jaatay haiN dil
badal jaatay haiN insaaN!
bahut banaataa hay insaaN
Aql-O-khird kaa taar-O-poo!
iss kaa takhaiiyoul bay panaah bay misaal!

aur phir!

kacchay raastay nafratoun kay saaye main
ghussay kee parcchaaien main
aksar ho jaatay hain ojhal aankh say

Zindagi main dosti ka safar!

:flower1: