zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

**zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad

haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad

kaun ghooNghaT ko uThaaye gaa sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad

phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
roye gi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad

Woh jo kehta tha ke ‘Nasir’ ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad**

zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad

:hinna:

Re: zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

Sard Mousam mein ye haal…?

zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

Aaj Bohot thand hai :bummer:

Re: zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

Itnhi bhi nhi…lykin aisi bhi nhi k Hichkiyan lag ja`ayn…

zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

Hamari taraf Bohot hai :(

Re: zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

:lajawab:

Re: zindagi ko na bana lain woh saza mere baad

**Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

Rassi jal gai, bal nahin gae.. itni toh nahin leni chahiye kisi ki. aashiq ko aashiq bun ke rehna chahiye, Sherlok Homes aur james Bond ki bhatakti aatma nahin
**