Zindagi ki..

Zindagi ki duayen nahi dejeye..
Zidd nahi kejeye..doobne dejeye..
Apni tishna labi ka taqaaza thaa ye..
Paaniyoun ke safar par chalen..jiss ghari..
Saahilon par koi bhi humara na ho..
Ajnabi dais ki malgaji shaam ke..
Asmaanon par koi sitaara na ho..
Akhri dam tak kashti-e-umar ko..
Baadbaanon ka koi saahara na ho..
Ab humara taaqub nahi kejeye..
Doobne dejeye..!

Nice1..