Zindagi ki talkheyoon se aashna karta gaya
Bewafa thaa woh mujhe bhi bewafa karta gaya
Yeh hakeekat hai khushi se dairpaa hota hai ghum
Har naye gham ko zamaana dairpaa karta gaya
Mere sir se khench kar woh apni yadoon ki rida
Mujh ko mere shehar mein be-aasra karta gaya
Ruk gaya jab mein tu ghehray paaneyoon ki jheel thaa
Aur chala tu jangaloon mein raasta karta gaya
Meri kashti ko dobooya us ne saahil ke kareeb
Mujh pe yeh ehsaan mera nakhuda karta gaya
Ittefaqqan woh mila aur nagahaan rukhsat huwa
Mujh ko meri zaat se lekin juda karta gaya