**zindagi ki haqiqat main kia jano main tu awara hon
naam ko chor kaam ki baat kar… par main tu nakara hon
zindagi ko chor kr moot ko jeny nikla main
zindagi ko jo ada na kar saka wo ik kafara hon
raat ki tarikeon mein chamkta raha dosrey sitaron k saath
waqtey sehar mein jo reh gia tanha wo ik sitara hon
choota saath har kissi ka par na choota saath samandar aur kinarey ka
chor diya saath jis ka samandar ney wo ik kinara hon
dunya hy ik aise aag jo jalti hy tu bharkti jati hy
aur main, jaltey hee bujh gaya aisa ik sharara hon
tera saath nibhaney ka wada Q kar karon
mein tu apna na ho saka tu Q kahon k tumhara hon**