Zindagi ke udaas lamhon mein
teri yaadon ke darichon mein se
wafa-o-khulus ka halka sa aur madhdham madhdham
hawa ka jhonka
mere dil ko jab gudgudata he
to tanhai ki udaas saamon ka ek ek pal
milan ki aas mein is tarah rangin hokar
fazaon mein chupke se bikhar jata he
jayse dhanak ke saat rangon se safed aasmaan
rangbirangi ho jata he
aur teri yaad ki khusboo se moattar ye fijhan
teri maujudgi ka subut yun dilati he
jayse aandhi ki jad mein aakar ek chota sa diya
apni luv unchi kiye timtimata rehta he
Ai raaste! hum bhi musafir haiN apni wafa hamare naam likhna
soubatein to dayar-e-ishq kay aham mor hain na tum unhain anjam likhna
chalo us nay ham ko be wafai kay qabil to samjha
ai khuda! na aur kisi ki taqdeer main aisa talkh jaam likhna
aasman pay jab shafaq phut ti hai to wo pari-e-saba yaad aay
kahan ka insaf hai ye koshish karnaywalay ko nakam likhna
kaainat kay khaliq kay kalaam ko woh shayri kehtay they
socho logon! kiya hai mushkil aisay khuda kay liye kitab-e-ilham likhna
bina kisi dar kay baatil kay khilaf ailan-e-jang karna tum
jab likhna tehreer-e-haq ko bay lagaam likhna
us haseen ittefaq pay geet, ghazal aur jaanay kiya kiya likha
woh paikar-e-husn aise ke din khatam ho jaaye to shaam likhna
ishq, mohabbat, husn waghaira pay duniya likhti rehti hai
irfan dard-e-dil ko jo sadd-e-bab karay aisa tum kalaam likhna
koi lamha to bhool jaya kar
yad-e-janaan na roze aaya kar
dhoond hall kuch nayay masayil ka
yad-e-mazi main kho na jaya kar
rozi roti talaash kar laikin
sang chidyon ke laot aaya kar
khauf aata hae abb judai say
aesi baton se na daraya kar
dil ke rakhnay main kuch naheen jata
dil hi rakhnay ko muskuraya kar
dost hotay hain Qamar sheeshay ke
doston ko na aaz maaya kar
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
maiN raat ka bay-nawa musafir hooN
mujhay doosroooN say shikayet kernee nahiN aatee
maiN woh paani hooN jisay yakh-basta shab nay munjamid ker dia ho
meray ahsaasaat ko, khyalaat ko, muntashir ker dia ho
meree rooH ko kaantooN nay chalnee ker dia hay
meray jism ko shabnam nay ter ker dia ho
maiN raat ka bay-nawa musafir hooN
mujhay doosrooN say shikayat kernee nahiN aatee
maiN apnay aap say waqif hooN na zamanay say
mujhay doosrooN ka khyal-e-buland choo nahiN sakta
mujhay apnay aap ko panay ki khwahish to hay buhut
magar aapnay aap ko panay ki justojo nahiN kerta
maiN raat ka bay-nawa musafir hooN
mujhay doosrooN say shikayat kernee nahiN aatee
**Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai
Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai
Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai
Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai
Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai
Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai
Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai**