Zindagi kay melay mein, khwaahishon kay relay mein
Tum say kya kahein jaanaan, kis qadar jhamelay hein
Waqt ki rawaani hai, bakht ki giraani hai
Sakht bay zameeni hai, ajab la makaani hai
Baat go zara si hai, baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki baatein kab do (2) ghari mein hoti hein
Ho sakay to sun jaao ik din akaylay mein
Zindagi kay melay mein, khwahishon kay relay mein
Tum say kya kahein jaanaan, kis qadar jhamelay hein