Zindagi kay baaray main iss qadar hi jana hai

zindagi kay baaray main iss qadar hi jaana hai
hum jahan sey aai hain phir udhar hi jaana hai

jaanay kab hawa aai, aur urra kay lay jai
kiya simtay khud ko jab bikhar hi jaana hai

kitnay rukh badaltay hain, phir bhi saath chaltay hain
raaston ko bhi hum nay humsafar hi jaana hai

lag raha hai yun jaisay farz karliya hum nay
thum hi jai gaa toofan paar utar hi jaana hai

waqt nay diya dhoka, jab bhi hum chalay roka
ab tou sab fasilon ko phaand kar hi jaana hai

quwwat e iradi sey kaam kuch tou bismal~ lay
yun tou job hi hai zindah usko marr hi jaana hai

bohut khoob:k::k: