**Karey safr mein agr rasta badlna tha
Tou ibtida mein mere sath hi na chalna tha
Kuch isliye bhi tou suraj zameen pe utra hai
Pahariyoun pe jami barf ko pighalna tha
Utr k dil mein lahoo zehar kr gya akhir
Wo sanp jis ko meri aasteen mein palna tha
Ye kia keh tuhmatein atish fishan k sarr aein
Zameen ko youn bhi khazana kbhi ugalna tha
Main laghzishon se atey raston pe chal nikla
Tujhe ganwa k mujhe phir kahan sambhalna tha
Ajab naseeb tha Mohsin k baad marg mujhe
Chiragh bn k khud apni lehad pe jalna tha**