Khatam hoga zindagi ka yeh safar
dekh lena,
Tanha chalay jayen gay hum
dekh lena,
Zindagi mein nhi koi
mukaam apna,
Baad mrnay k hogi qadar
dekh lena,
Mujhay abhi koi kali bhi
nhi deta,
Per phoolon se mehkay gi qabr meri
dekh lena,
Tanha he zindagi mein chal
raha hun,
Janaazay mein hoga sara shehar
dekh lena,
Jo ab haalat per meri
muskuratay hain,
Pareshan hongay un k chehray
dekh lena,
Kuch k sachay kuch jhootay
aansu hongay,
Kitna ajeeb hoga woh manzer
DEKH LENA…
Re: ~Zindagi Ka Safar~
hhmm Dekh Lena
Nisce sharing
Re: ~Zindagi Ka Safar~
Bohat khoob** Khubsoorat**..
Re: ~Zindagi Ka Safar~
Tanha he zindagi mein chal
raha hun,
Janaazay mein hoga sara shehar
dekh lena,
Buhat Khoub
Re: ~Zindagi Ka Safar~
aisy kam he mat karo na k tanha rehna par jaey.
Yeh ishq mohobat sab fazool ki cheezain hain
bohot khoob !!!