Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai
Har ghari hota hai ehasas kahin kuch kam hai
Ghar ki tamir tasawur hi may hu sakati hai
Apane naqshe ke mutabiq yai zamin kuch kam hai
Bichare logon se mulaqat kabhi phir hugi
Dil may ummid tu kafi hai yaqin kuch kam hai
Ab jidhar dekhiyay lagata hai ki is duniya may
Kahin kuch chiz ziyada hai kahin kuch kam
Aj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab
Yai alag bat ki pehli si nahi kuch kam hai…!!!