Zindagi jaa tujhe guzaar liya

***Hum nay yeh qarz bhi utaar liya
Zindagi, jaa tujhe guzaar liya

Jab ghum-e-zindagi nay di mohlat
Hum nay ik shakhs ko pukaar liya

Aahtain dharkanon ki soorat theen
Dil nay kya lutf-e-intezaar liya

Aik tum ho bichad k zinda ho
Aik hum hain k khud ko maar liya

Aandhiyon main jalay charagh thay hum
Hum nay kya shehr ka sanwar liya

Ghum bhi apna, khushi bhi apni
Waqt say kuch nahi udhaar liya***

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

wow nice

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

very nice

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

AMAZING :k:

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

Dania_2000, very nice indeed :k: … Thanx a lot for sharing it with us :slight_smile:

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

zabardast
khob kaha hai

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

Ghum bhi apna, khushi bhi apni
Waqt say kuch nahi udhaar liya


Wow - great words!

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

:)

Re: Zindagi jaa tujhe guzaar liya

Wowww, too good, excellent