**
Zindagi InsaaN kee ik dumm kay siwaa kuch bhee nahiN
Dumm hawaa kee mouj hai, rum kay siwaa kuch bhee nahiN
Gul, Tabassum keh rahaa thaa Zindagaani ko, magar
Shamma boli, Girya’-e-Ghumm kay siwaa kuch bhee nahiN
Raaz-e-Hasti Raaz hai jubb tuk koie Mehram naa ho
Khul gayaa jiss dumm, tau Mehram kay siwaa kuch bhee nahiN
Zaairaan-e-Ka’aba say Iqbal yeh poochay koie
Kiya Haram ka tohfaa Zam-Zam kay siwaa kuch bhee nahiN
**
– Allama Iqbal (Baang-e-Dara)