meri nazm,
zindagi ik behlawa
barha hum nay jee kay deikha
barh a hum nay mar kay deikha
zindagi ki ragoon main utar kay deikha
sabhi kuch karkay deikha
ik haqeeqat khuli hum pay akhir kar
ho gaya jab apni zindagi min sab beikar
zindagi ik behlawa ik piyas
khwab azab umeed aas
tery chahat main khud ko mita kay
tujhay apnay khayalooon main basa kay
kuch hseen lamhay bitaey thay jo sath teray
reh gaey hain ab sirf wohi ps meray
kucha bar hum nay jeet kay kuch bar hum nay har kay
uljhi bikhri apni pareishan zulfein sanwar kay
zindagi kay udas lamhoon main bhi yeh as rahi
aaeingay apni zindagi main bhi kabhi din bahr kay
kabhi yoon hua keh udasioon kay badal chhat gaey
magar najany kioon hum khud main hi simat gaey
kabhi besabab yoonhi hans diay
kabhi besabab yoonhi ro diay
kabhi hath atay haseen lamhay
yoonhi jan kar bhi kho diay
jab jan lia keh zindagi ik behlawa hay
to hum nay bhi apnay dil ko samjhaya hay
kisi ik shakhs kay kho janay se kuch bhi nahain hota
ronay ya pareishn ho janay se kuch bhi nahin hota
jo bhula day tumhara piar tumhain us ki parwa na karo
jo luta day apna aap tumhary liay usay ruswa na karo
choom lo is zindagi kay phool ko asad phir khilay na khilay
ji lo is pal ko jo pas hay phir milay na milay
BY MUHAMMAD NAVEED JAN ASAD
FROM THE CITY OF KHAWAJAH GHULAM FAREED MITHAN KOT DISTT. RAJAN PUR
Re: Zindagi Ik Behlawa (nazm)
niceeeeeeeeeeeeeeeeee
Re: Zindagi Ik Behlawa (nazm)
Very nice ,,,, keep sharing
Re: Zindagi Ik Behlawa (nazm)
Nice thanks for sharing &welcome on GS Poetry:-)
Re: Zindagi Ik Behlawa (nazm)
Very nice :k: