**zindagi Dar kay nahi hoti basar, janay do
jo guzarni hai qiyamat woh guzar janay do
dekhte jana badal jaye ga manzar sara
yeh dhuwan sa tou zara nechay uttar janay do
phir chalay aaye ho tum meri masehaie ko
pehlay kuch ristay huay zakhm tou bhar janay do
aik khusbhoo ki tarah zindah raho duniya mein
aur phir kya hai agar khud ko bikhar janay do
arzoo apni badal daalo khuda ki khatir
in ki dehleez peh phodu na yeh sar, janay do
dil-e-nadaan ! tou samjhta he nahi duniya ko
kon rakhta hai bhala kisi ki khabar, janay do
saad ! tum aib nikalo na hamaray aisay
hum bhi rakhtay hain gilaay shikway, magar janay do.**