Zindaghi ki talash...

Film *saathi *ka gana, good lyrics.

Zindaghi ki talaash mein hum
moat ke kitney paas aa gaye
jab yeh socha to ghabra gaye
aah gaye hum kahan aa gaye

Zindaghi ki talaash mein hum
moat ke kitney paas aah gaye

Hum thay esey safar pe chale
Jis ki koi bhi manzil nahi
hum nain saari umar jo kiya
uss ka koi bhi haasil nahi

ik khushi ki talaash main thay
kitne gham hum ko tarpa gaye
jab yeh socha tou ghabra gaye
aah gaye hum kahan aa gaye

Soocho hum kitne majboor thay
Jo na karna tha wo kar gaye
Peechey mur ke jo dekha zara
apney halaat se darr gaye

khud ke barey main sochein jo hum
apney aap se sharma gaye
jab yeh socha to ghabra gaye
aa gaye hum kahan aa gaye

Zindaghi ki talaash mein hum
moat ke kitney paas aah gaye

Download, MP3
http://www.4shared.com/file/12164867/79c410d/ZINDAGI_KI_TALAASH.html

Re: Zindaghi ki talash...

nice

Re: Zindaghi ki talash...

nice song....thanx for sharing!