**Humesha muskura kay aansoun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey nahein ashkon ka sabab
Kay derd dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Sahelion kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay kay
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya **
zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
duniya mein Khamoshi se guzar jaye ham to kya
hasti hi apni kya hai zamane ke samne
ek Khvab hain jahaa mein bikhar jaye ham to kya
ab kaun muntazir hai hamare liye vaha
shaam a gai hai laut ke ghar jaye ham to kya
dil ki Khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-Gam ke par utar jaye ham to kya
Re: zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
very nice
Re: zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
nice sharing.....thnx....!
Re: zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
thx alll of u
Zindagee badal gyee
Mujhko Ishq hai Tum say hai akhir
Tum say Mil k
Zindagee badal gyee
Waqt ke sa'at rook gyee
Wiran Dunya tih pehlay
Aik Molaqaat main badal gyee
Tum say piyar kya
Dil main aik AAG see bharak gyee
Lafzoon main hai Tera naam
yeah soon k
meri Dunya simat gyee
"I Love U" bolo k nahee
meri QISMAT badal gyee ......