**Zinda the to kisi ne na poucha Haal-E-jigr,
Ab mr gaye hain tu mitti mein dabane aa gaye,
Chorr k dunya ko madhosh howe the hm,
Who na jane kye soch kr hum ko jagane aa gaye,
Na jane kis se pucha hai wafa na pata mera,
Meri qabr per bhi mujhe satane aa gaye,
Hum to andhere mein sone k aadi the,
Or woh bewafa hamari qabr per diye jalane aa gaye,
Zinda the to ek nazar na dekha pyar se mujhe,
Mar gaye hain to ab qabr pr aansu bahane aa gaye**