Zindagi ko zindagi ka lazma darkar hai
Zinda rehnay kay liyay bhi hausla darkar hai
Suboh ki thandi hava ehsaas ko jhulsa gaii
Rooh ko jo taazgi day woh hava darkar hai
Raston kay rukh badal jatay hain taqdeeron kay sath
Ho jo qismat ashna, woh ashna darkar hai
Zindagi to karb ka sehra nazar ayee magar!
Maut kya shey hai, hamay yeh faisla darkar hai
Justoojoo manzil ki lay ayee hai nazuk moR par
Karb ke sehra may seedha raasta darkar hai
Sheehs mehlon ki talab hai vaja-e-ruswai Shafaq
Admi ko sar chupanay ki jaga darkar hai
Shafiq-ur-Rehman Shafaq.