Zinda rahein tau kya hai...

Zinda rahein tau kya hai jo marr jaayein hum tau kya
Duniya sey, khamoshi sey guzarr jaayein hum tau kya

Hasti hi apni kya hai, zamaaney ke saamney
Ek khwaab hain, jahan mein bikhar jaayein hum tau kya

Ab kaun muntazir hai, hamare liye wahaan
Shaam aa gai hai laut ke ghar jaayein hum tau kya

Dil ki khalish tau sath rahe gi tamaam umr
Darya-e-gham ke paar utar jaayein hum tau kya
Duniya se khamoshi se guzarr jaayein hum tau kya…

Very Nice :flower2:

Song by NAheed AKhtar…???

Acha yeh kisi ne gaya bhi hai kya?? mujhe nahi maloom tha..

lekin iske poet Munir Niyazi sahab hain..

Jee HaaN…

The Tune is Moving around in my BRAIN :smiley: but Not sure abt if its Naheed Akhtar :rolleyes:

Good one.

Thanx..rsjs

very nice aryaan

Shukriya kamal.. :)

Dil ki khalish tau sath rahe gi tamaam umr
Darya-e-gham ke paar utar jaayein hum tau kya
Duniya se khamoshi se guzarr jaayein hum tau kya…

very nice Aryaan g…:k:

Shukriya reet ..:)